girdāb-e-reg-e-jān se mauj-e-sarāb tak
zinda hai to lahū meñ bas ik iztirāb tak
ik maiñ ki ek ġham kā taqāzā na kar sakā
ik vo ki us ne maañg liye apne ḳhvāb tak
tū lafz lafz lazzat-e-hijrāñ meñ hai abhī
ham aa ga.e haiñ hijrat-e-ġham ke nisāb tak
jo zer-e-āb-e-mauj-e-ravāñ hai ḳhurūj-e-āb
aa jaa.e ek roz agar sat.h-e-āb tak
miltā kahīñ savād-e-varūd-o-shahūd meñ
hotā mirī hudūd kā koī hisāb tak
terā hī raqs silsila-e-aks-e-ḳhvāb hai
is ashk-e-nīm-shab se shab-e-māhtāb tak
āsār-e-ahd-e-ġham haiñ tah-e-reg-e-jāñ ki tū
pahuñchā nahīñ abhī dil-e-ḳhāna-ḳharāb tak