Farooq Engineer

na jaane kis ne kaha tha bhaTakte aahu se

Farooq Engineer

Shekhawati, Rajasthan, India

1960
na jaane kis ne kahā thā bhaTakte aahū se
mahak rahā hai ye jañgal tirī hī ḳhushbū se
jhulas rahā thā ka.ī din se aañkh kā sahrā
ye dasht ho gayā sairāb ek aañsū se
vo hijr thā ki añdherā sā chhā gayā dil meñ
vo yaad thī ki chamakne lage the jugnū se
mire liye to vo dīvān-e-'mīr' jaisā thā
huā thā nam kabhī kāġhaz jo pahle aañsū se
to aañkh bhar ke un āñkhoñ meñ dekhnā hogā
to hogā aise hī jaadū kā toḌ jaadū se
havā kā zor hai kyā dhuup kī hai kyā shiddat
ki āñsuoñ kī duā.eñ bañdhī hai baazū se
havā ke lams ne mahkā diyā mujhe 'fārūq'
havā ne haath rachāeñ haiñ kis kī ḳhushbū se
Top Urdushayar.com