Hari Chand Akhtar

mera mazmun sawar-e-tausun-e-tab-e-rawan ho kar

Hari Chand Akhtar

Hoshiarpur, Punjab, India

1901-1958
mirā mazmūñ savār-e-tausun-e-tab-e-ravāñ ho kar
zamīn-e-sher par phirtā hai goyā āsmāñ ho kar
khaTak jaate haiñ chashm-e-barq meñ merā nishāñ ho kar
ġhazab Dhāte haiñ ya.anī chand tinke āshiyāñ ho kar
sun ai josh-e-junūñ taqlīd-e-majnūñ kī nahīñ achchhī
mabādā ham bhī rah jaa.eñ kisī din dāstāñ ho kar
damā-dam sho.abde ham ko dikhātā hai koī jalva
kahīñ shaiḳh-e-haram ho kar kahīñ pīr-e-muġhāñ ho kar
in āñkhoñ se bahār-e-bāġh-e-duniyā dene vaalo
ye āñkheñ rañg lā.eñgī kisī din ḳhūñ-fishāñ ho kar
ajī kyā sham.a kyā parvāna donoñ jal bujhe āḳhir
koī ātish-fishāñ ho kar koī ātash-bajāñ ho kar
ḳhudā mahfūz rakkhe ye hasīñ dil le hī lete haiñ
kisī par mehrbāñ ho kar kisī se sargirāñ ho kar
na paayā aur kuchh bhī juz ḳhudā ka.abe meñ ai 'aḳhtar'
bahut nādim hue ham but-kade se bad-gumāñ ho kar
Top Urdushayar.com