ishq phir ishq hai āshufta-sarī māñge hai
hosh ke daur meñ bhī jāma-darī māñge hai
haa.e āġhāz-e-mohabbat meñ vo ḳhvāboñ ke tilism
zindagī phir vahī ā.īna-garī māñge hai
dil jalāne pe bahut tanz na kar ai nādāñ
shab-e-gesū bhī jamāl-e-saharī māñge hai
maiñ vo āsūda-e-jalva huuñ ki terī ḳhātir
har koī mujh se mirī ḳhush-nazarī māñge hai
terī mahkī huī zulfoñ se ba-andāz-e-hasīñ
jaane kyā chiiz nasīm-e-saharī māñge hai
aap chāheñ to tasavvur bhī mujassam ho jaa.e
zauq-e-āzar to na.ī jalvagarī māñge hai
husn hī to nahīñ betāb-e-numā.ish 'unvāñ'
ishq bhī aaj na.ī jalvagarī māñge hai