jam.a haiñ saare musāfir nā-ḳhudā-e-dil ke paas
kashtī-e-hastī nazar aatī hai ab sāhil ke paas
sārbāñ kis justujū meñ hai yahāñ majnūñ kahāñ
ab bagūlā bhī na bhaTkegā tire mahmil ke paas
ibtidā-e-ishq ya.anī ek mohlik hādsa
aa ga.ī hastī yakāyak maut kī manzil ke paas
ne.amatoñ ko dekhtā hai aur hañs detā hai dil
mahv-e-hairat huuñ ki āḳhir kyā hai mere dil ke paas
ye tire dast-e-karam ko khīñch legā ek din
ai ḳhudā rahne na de dast-e-duā saa.il ke paas