jab zulf sharīr ho ga.ī hai
ḳhud apnī asiir ho ga.ī hai
jannat ke muqāble meñ duniyā
aap apnī nazīr ho ga.ī hai
jo baat tirī zabāñ se niklī
patthar kī lakīr ho ga.ī hai
hoñToñ pe tire hañsī machal kar
jalvoñ kī lakīr ho ga.ī hai
jo aah mirī zabāñ se niklī
arjun kā vo tiir ho ga.ī hai
shāyad koī be-nazīr ban jaa.e
vo badar-e-munīr ho ga.ī hai
ai bād-e-sabā tū chhū ke gesū
ḳhushbū kī safīr ho ga.ī hai
āvāz-e-shikast-e-dil hī 'unvāñ'
āvāz-e-zamīr ho ga.ī hai