Unwan Chishti

kahte hain azal jis ko us se bhi kahin pahle

Unwan Chishti

Saharanpur, Uttar pradesh, India

1935-2004
kahte haiñ azal jis ko us se bhī kahīñ pahle
īmān mohabbat par laa.e the hamīñ pahle
asrār-e-ḳhud-āgāhī dīvāne samajhte haiñ
takmīl-e-junūñ āḳhir merāj-e-yaqīñ pahle
chamkā diyā sajdoñ ne naqsh-e-kaf-e-pā lekin
raushan to na thī itnī ye merī jabīñ pahle
har baar ye rah rah kar hotā hai gumāñ mujh ko
shāyad tire jalvoñ ko dekhā thā kahīñ pahle
ye baat alag Thahrī ab ham ko na pahchāneñ
mahfil meñ magar un kī aa.e the hamīñ pahle
ye rāz-e-mohabbat hai samjhegā zamāna kyā
tum hāsil-e-dīñ āḳhir ġhārat-gar-e-dīñ pahle
is kār-e-numāyāñ ke shāhid haiñ chaman vaale
gulshan meñ bahāroñ ko laa.e the hamīñ pahle
taqdīr kī muḳhtārī 'unvān' musallam hai
hotī hai mohabbat bhī majbūr yahīñ pahle
Top Urdushayar.com