rahne de taklīf-e-tavajjoh dil ko hai ārām bahut
hijr meñ terī yaad bahut hai ġham meñ terā naam bahut
baat kahāñ un āñkhoñ jaisī phuul bahut haiñ jaam bahut
auroñ ko sarshār banā.eñ ḳhud haiñ tishna-kām bahut
kuchh to batāo ai farzāno dīvānoñ par kyā guzrī
shahr-e-tamannā kī galiyoñ meñ barpā hai kohrām bahut
shuġhl-e-shikast-e-jām-o-tauba pahroñ jaarī rahtā hai
ham aise Thukrā.e huoñ ko mai-ḳhāne meñ kaam bahut
dil-shiknī o dildārī kī ramzoñ par hī kyā mauqūf
un kī ek ik jumbish-e-lab meñ pinhāñ haiñ paiġhām bahut
aañsū jaise bāda-e-rañgīñ dhaḌkan jaise raqs-e-parī
haa.e ye tere ġham kī halāvat rahtā huuñ ḳhush-kām bahut
us ke taqaddus ke afsāne sab kī zabāñ par jaarī haiñ
us kī galī ke rahne vaale phir bhī haiñ badnām bahut
zaḳhm ba-jāñ hai ḳhaak basar hai chaak ba-dāmāñ hai 'unvāñ'
bazm-e-jahāñ meñ raqs-e-vafā par milte haiñ in.aam bahut