Unwan Chishti

tassub ki faza mein tana-e-kirdar kya deta

Unwan Chishti

Saharanpur, Uttar pradesh, India

1935-2004
ta.assub kī fazā meñ ta.ana-e-kirdār kyā detā
munāfiq dostoñ ke haath meñ talvār kyā detā
amīr-e-shahr to ḳhud zard-rū thā ek muddat se
jharoke se vo ahl-e-shahr ko dīdār kyā detā
hamāre din ko jo detā nahīñ ik dhuup kā TukḌā
hamārī raat ko vo chāñd kā me.aar kyā detā
kahīñ golī kahīñ gaalī mohabbat se hai dil ḳhālī
ḳhabar ye thī to bachchoñ ko nayā aḳhbār kyā detā
bahut dushvār hai ḳhuddār rah kar zindagī karnā
ḳhushāmad karne vaalā sadqa-e-dastār kyā detā
ḳhud us kā saaya bhī us se gurezāñ hai musībat meñ
mirā ham-sāya mujh ko sāya-e-dīvār kyā detā
sarā.e-jāñ meñ dānista musāfir luT gayā varna
ki dil sā saḳht-jāñ ik gul-badan ko vaar kyā detā
Top Urdushayar.com