saarī duniyā meñ daana hai apne ghar meñ kuchh bhī nahīñ
aisā lagtā hai ab us ke kīsa-e-zar meñ kuchh bhī nahīñ
zauq-e-nazar phir āmāda hai jalvoñ kī paimā.ish par
ḳhālī āñkheñ ye kahtī haiñ chāñd-nagar meñ kuchh bhī nahīñ
ḳhud-dārī bhī kachchā shīsha fankārī bhī kachchī niiñd
sab kuchh kho kar ye paayā hai shahr-e-hunar meñ kuchh bhī nahīñ
chāroñ khoñT phirā huuñ lekin apne aap ko pā na sakā
ghar aa kar ye raaz khulā hai samt-o-safar meñ kuchh bhī nahīñ
purkhoñ se unvān sunā hai bhuuk aur niiñd meñ rishta hai
aaj kī raat kaThin guzregī aaj to ghar meñ kuchh bhī nahīñ