mai-kade meñ baiTh kar īmān kī parvā na kar
yā use bhī ek do chullū pilā dīvāna kar
muskurā de qissa-e-ummīd kar de muḳhtasar
yā baḌhā le chal zarā sī baat ko afsāna kar
ḳhush-mazāqī shart ho jis ke nazāre ke liye
us gul-e-ḳhud-rū ko yārab zīnat-e-vīrāna kar
hādisa hai lekin aisā ġhair-ma.amūlī nahīñ
sham.a par parvāna jalne de koī parvāna kar