bachche bhī ab dekh ke us ko hañste haiñ
us ke muñh par rañg birañge saa.e haiñ
jaltī āñkheñ le kar bhī itrātā huuñ
sab ke sapne mere apne sapne haiñ
merā badan hai kitnī rūhoñ kā maskan
merī jabīñ par kitne katbe likkhe haiñ
jab se kisī ne biich meñ rakh dī hai talvār
ham-sā.e bhī ham-sā.e se Darte haiñ
shahrī bhañvre se kahnā ai bād-e-sabā
niim ke patte gaañv meñ ab bhī kaḌve haiñ
ek zarā sī Thes lagī aur TuuT ga.e
dil ke rishte kitne nāzuk hote haiñ
kis ko dikhā.ūñ apnī nazar se terā ruup
tere bhī to ek nahīñ sau chehre haiñ