ramz-āshnā mile ka.ī ahl-e-nazar mile
phir bhī ye justujū rahī koī bashar mile
aadil bhī ho rahīm bhī ho kārsāz bhī
sab kuchh to ho magar zarā ham se nazar mile
inkār-e-sajda hai yahāñ kis rū-siyāh ko
shāyān-e-sajda bhī to magar koī dar mile
ye hai kamāl-e-jahl ki me.arāj-e-āgahī
har lamha justujū hai kuchh apnī ḳhabar mile
aish-e-gurez-pā kā tasavvur bhī miT gayā
ġham aise mustaqil mile aur is qadar mile