vo zimmedārī kitnī ḳhushī se nibhā.ī thī
us ko sarā.ī kī zabāñ maiñ ne sikhā.ī thī
maiñ ne jahāñ pe pyaas ko sairāb kar diyā
dariyā kī ek lahr mire haath aa.ī thī
jañg-e-arab meñ chhoḌ ga.e jab himāyatī
kuufa ke ik javāñ ne mirī jaañ bachā.ī thī
aurat se bahs karnā samajhtā thā bas hatak
aur nazriyātī laḌkī bhī dil meñ basā.ī thī
īmān kā hisāb bhī rakhnā paḌā hameñ
zaatī bhalā.ī meñ hī ḳhudā kī bhalā.ī thī
vaadī meñ har-sū ugne lage pāniyoñ ke phuul
chashme pe koī husn-bharī aa nahā.ī thī
maiñ ne chune haiñ apnī hī marzī ke chand phuul
varna to mere hisse meñ puurī ḳhudā.ī thī
shāyad ki ek raat ke ba.ad aur raat ho
sapne meñ ik judā.ī ke ba.ad aur judā.ī thī