ziyāda sochne vaale tujhe pata nahīñ hai
jo tujh ko siine lagātā hai vo tirā nahīñ hai
vahāñ pe ham bhī haiñ maujūd DhūñDne vaalī
so tere dil meñ akelā tirā ḳhudā nahīñ hai
tumheñ pata hai ki tum kis liye hue ho zalīl
tumhāre paas koī apnā nazriya nahīñ hai
haiñ bad-dimāġh mirī tarah mere saare dost
koī bhī duniyā ke baare meñ sochtā nahīñ hai
ai laḌkī tujh ko bhalā mujh meñ kyā nazar aayā
'vaqār' ḳhām-sifat tere kaam kā nahīñ hai