man kī mai ho to piyāle nahīñ dekhe jaate
ishq ho jaa.e to chehre nahīñ dekhe jaate
maiñ bigaḌte hue bachchoñ ko bhī kab DāñTtā huuñ
mujh se rote hue bachche nahīñ dekhe jaate
hamla-āvar ko maiñ ab ḳhud hī riyāsat de duuñ
apne logoñ pe ye hamle nahīñ dekhe jaate
tairnā aatā hai to chhoḌ mujhe tū to nikal
mauqa aisā ho to va.ade nahīñ dekhe jaate
us kī ḳhāmoshī añdhere kā sabab bantī hai
mujh se ab aur añdhere nahīñ dekhe jaate
apne kashmīrī laboñ se tū girā sharm ke band
Dūbne vaqt kināre nahīñ dekhe jaate
maiñ koī haath bhī thāmūñ to ye dil thamtā hai
mujh se qismat ke sitāre nahīñ dekhe jaate