ġhurūr-e-zabt se āh-o-fuġhāñ tak baat aa pahuñchī
havas ne kyā kiyā dil se zabāñ tak baat aa pahuñchī
sukūn-e-dil se nāqūs o azaañ tak baat aa pahuñchī
ḳhudā vāloñ kī himmat se kahāñ tak baat aa pahuñchī
ḳhilāfat se jabīn o āstāñ tak baat aa pahuñchī
ḳhudā aur ibn-e-ādam meñ yahāñ tak baat aa pahuñchī
milī thī aañkh aur āh-o-fuġhāñ tak baat aa pahuñchī
zarā sī baat thī lekin yahāñ tak baat aa pahuñchī
hamārī dāstāñ meñ zikr-e-qais-o-kohkan aayā
vahāñ se phir hamārī dāstāñ tak baat aa pahuñchī