kabhī siskī kabhī āvāza safar jaarī hai
kisī dīvāne kā dīvāna safar jaarī hai
thak ke baiTheñ to kahīñ haath vo chhoḌvā hī na le
bas isī ḳhauf meñ hī andhā safar jaarī hai
ye jo aage kī taraf paañv nahīñ uThte mire
apne andar kī taraf merā safar jaarī hai
kitnī hī manzileñ pā kar bhī tasallī na huī
mere bal-būte pe qismat kā safar jaarī hai
kuchh mahīne to hameñ jaag ke hī chalnā paḌā
kuchh mahīnoñ se ye ḳhvābīda safar jaarī hai
jis ko bhī chaltā huā dekheñ so chal paḌte haiñ
kyuuñ 'vaqār' apnā ye an-dekhā safar jaarī hai