be-misl-o-be-hisāb ujāloñ ke ba.ad bhī
kuchh aur maañg jaan se pyāroñ ke ba.ad bhī
kyā soch raushnī se ziyāda hai tez-rau
ham band rah sake na fasīloñ ke ba.ad bhī
tasvīr se ziyāda tasavvur kī umr hai
kuchh ḳhvāb zinda rahte haiñ āñkhoñ ke ba.ad bhī
phir ḳhauf se be-fikr hī karnā paḌā use
badlī na merī qaum azāboñ ke ba.ad bhī
chāho agar amaan to hāzir hai merā dil
mazbūt hai ye qila darāḌoñ ke ba.ad bhī
aqaliyyatoñ ke jaise ḳhudā kī tarah haiñ ham
sābit na ho sake jo havāloñ ke ba.ad bhī
qaidī mohabbatoñ pe yaqīñ kis tarah rakheñ
miltī hai kab rihā.ī sazāoñ ke ba.ad bhī