ḳhatā qubūl nahīñ hai to ḳhud ḳhatā kar dekh
yā ek baar barābar meñ mere aa kar dekh
ye merā sabr hai ye mujh pise hue kā sabr
ḳhudā-e-qahr tū aa qahr aazmā kar dekh
ġhurūr vaar diyā maiñ ne fī-sabīlil-ishq
ai ishq tū bhī to ab thoḌā hausla kar dekh
maiñ dil kā achchhā huuñ lekin zarā sā huuñ gustāḳh
tū ek baar mujhe siine se lagā kar dekh
tū aazmā to chukā hai ye saare makr-o-fareb
bas ab azān-e-mohabbat zabāñ pe lā kar dekh
vo kuchh batāne se shāyad jhijaktī hogī 'vaqār'
tū ek baar use naam se bulā kar dekh