dekhā jo ek shaḳhs ajab ān-bān kā
ik silsila sā rahtā hai har-vaqt dhyān kā
be-soche-samjhe ghar se jo yūñhī nikal paḌe
ab DhūñDte haiñ saaya kisī sā.ebān kā
koī nahīñ hai aisā ki apnā kaheñ jise
kaisā tilism TuuTā hai apne gumān kā
bastī meñ haiñ pa aise ki sab se judā haiñ ham
achchhā thā ḳhabt ham ko bhī ūñche makān kā
mauj-e-nafas ke saath rahe rishta-e-ummīd
dhaḌkā sā varna rahtā hai har-vaqt jaan kā
zālim ḳhudā se Dar kahīñ bijlī na gir paḌe
mushkil bahut hai girnā agar āsmān kā
jis ghar meñ hañste khelte guzrī hai ek umr
rishta bhī ab to yaad nahīñ us makān kā
nākāmiyoñ ko ham ne muqaddar banā liyā
ab Dar nahīñ rahā hai kisī imtihān kā
'nādir' vo kab balāoñ ko ḳhātir meñ laate haiñ
rakhte haiñ jo bhī hausla ūñchī uḌaan kā