Hari Chand Akhtar

sair-e-duniya se gharaz thi mahw-e-duniya kar diya

Hari Chand Akhtar

Hoshiarpur, Punjab, India

1901-1958
sair-e-duniyā se ġharaz thī mahv-e-duniyā kar diyā
maiñ ne kyā chāhā mire allāh ne kyā kar diyā
rokne vaalā na thā koī ḳhudā ko is liye
jo kuchh aayā us ke jī meñ be-muhābā kar diyā
haañ isī kam-baḳht dil ne kar diyā ifshā-e-rāz
haañ isī kam-baḳht dil ne mujh ko rusvā kar diyā
ishq jā in terī bātoñ meñ nahīñ aane ke ham
achchhe achchhoñ ko jahāñ meñ tū ne rusvā kar diyā
zindagī baiThī thī apne husn par bhūlī huī
maut ne aate hī saarā rañg phīkā kar diyā
husn ne pahle to sab mujh par haqīqat khol dī
aur phir ḳhāmosh rahne kā ishārā kar diyā
husn ko pahnā chuke jab ḳhud-numā.ī kā libās
ishq ne sar piiT kar pūchhā ki ye kyā kar diyā
Top Urdushayar.com