ham ko ma.alūm hai bātoñ kī sadāqat terī
log kyā kyā nahīñ karte haiñ shikāyat terī
malka-e-husn nahīñ phir bhī tū ai jān-e-vafā
achchhī lagtī hai bahut hī mujhe sūrat terī
koī mushkil bhī ho ḳhātir meñ na laate the kabhī
hausla kitnā baḌhātī thī rifāqat terī
tū hī batlā ki bhalā tujh ko bhulā.eñ kyuuñ kar
sāmne āñkhoñ ke aa jaatī hai sūrat terī
kyā kaheñ ham ki guzar jaatī hai dil par kyā kyā
yaad aatī hai jo rah rah ke ināyat terī
log kyā saada haiñ ummīd-e-vafā rakhte haiñ
jaise ma.alūm nahīñ un ko haqīqat terī
ab kahāñ rahtā hai kyā kartā hai 'nādir' mere
muddatoñ ba.ad nazar aatī hai sūrat terī