Athar Nadir

gham ke maron ka hai sahaara chand

Athar Nadir

Ghazipur, Uttar pradesh, India

1928
ġham ke māroñ kā hai sahārā chāñd
kitnā achchhā hai kitnā pyārā chāñd
zard chehra hai chāñdnī phīkī
kahīñ furqat kā ho na maarā chāñd
tū har ik kā hai aur kisī kā nahīñ
log kahte raheñ hamārā chāñd
ham jahāñ jaa.eñ jis taraf jaa.eñ
saath rahtā hai ye dil-ārā chāñd
baḌh ga.ī aur dil kī betābī
jaane kyā kar gayā ishārā chāñd
ham tire paas ḳhud chale aa.e
terī duurī nahīñ gavārā chāñd
rāt-bhar saath thā magar 'nādir'
sub.h-dam kar gayā kinārā chāñd
Top Urdushayar.com