tū ḳhush-nasīb hai har shaḳhs hai asīroñ meñ
likhā huā hai tire haath kī lakīroñ meñ
jo ho sake to mujhe bhī kahīñ talāsh karo
maiñ kho gayā huuñ ḳhayālāt ke jazīroñ meñ
ye inqilāb-e-zamāna nahīñ to phir kyā hai
amīr-e-shahr jo kal thā vo hai faqīroñ meñ
hameñ ye chāhiye hushiyār rahbaroñ se raheñ
ki zahr bhī haiñ lage maslahat ke tīroñ meñ
saḌak pe ho gayā phir koī hādisa shāyad
ik iztirāb sā lagtā hai rāhgīroñ meñ
ḳhulūs-e-fan hī to 'nādir' kā hai ki shāmil hai
ab us kā naam bhī shahr-e-suḳhan ke mīroñ meñ