ḳhud apnī yaad dilā ke rulā diyā hai mujhe
vo ek shaḳhs ki jis ne bhulā diyā hai mujhe
tire karam kā sazā-vār maiñ rahā jab tak
ġham-e-hayāt ne bhī rāsta diyā hai mujhe
havā-e-shauq ne terī talāsh meñ aksar
misāl-e-barg-e-shikasta uḌā diyā hai mujhe
zarā sī aañkh lagī thī jo apnī āḳhir-e-shab
havā-e-sub.h ne aa kar jagā diyā hai mujhe
chaman meñ tū rahā jab tak gulāb kī sūrat
nasīm-e-sub.h ne terā patā diyā hai mujhe
ye apnā apnā muqaddar hai is ko kyā kahiye
tujhe sarāb to dariyā banā diyā hai mujhe
ba-rañg-e-shīsha thā pahle ab ek patthar huuñ
nazar se apnī jo tū ne girā diyā hai mujhe
ḳhayāl-o-ḳhvāb kī bāteñ ḳhayāl-o-ḳhvāb huiiñ
shu.ūr-e-zīst ne jiinā sikhā diyā hai mujhe