Athar Nadir

main ki KHud apne KHayalat ka zindani hun

Athar Nadir

Ghazipur, Uttar pradesh, India

1928
maiñ ki ḳhud apne ḳhayālāt kā zindānī huuñ
terī har baat ko kis tarah gavārā kar luuñ
sahrā sahrā jo phirā kartā hai terī ḳhātir
haa.e vo shaḳhs jise kahtī hai duniyā majnūñ
dil ne go laakh ye chāhā ki bhulā duuñ tujh ko
yaad ne terī magar aaj bhī maarā shab-ḳhūñ
kis ḳharābe meñ hameñ laa.ī hai vahshat ki jahāñ
koī dīvār na dar hai na koī bām-o-sutūñ
aap ġhazleñ jo kahā karte haiñ 'nādir'-sāhab
kyā milā kartā hai is tarah bhī kuchh dil ko sakūñ
Top Urdushayar.com