Athar Nadir

dil mein yun chah ka arman na hua tha so hua

Athar Nadir

Ghazipur, Uttar pradesh, India

1928
dil meñ yuuñ chaah kā armāñ na huā thā so huā
jis kī ḳhātir maiñ pareshāñ na huā thā so huā
vo bhī kyā din the ki jab rāhat-e-jāñ thā koī
vaqt bhī mujh se gurezāñ na huā thā so huā
kis ko hai tāb-e-nigāhī tirā jalva dekhe
aa.ina ḳhud bhī to hairāñ na huā thā so huā
ġham-gusārī ke liye ab nahīñ aatā hai koī
zaḳhm bhar jaane kā imkāñ na huā thā so huā
ye bhī e.ajāz-e-mohabbat hai ki vo shoḳh kabhī
vaj.h-e-taskīn-e-dil-o-jāñ na huā thā so huā
jal uThīñ dil meñ tirī yaad kī sham.eñ āḳhir
is ḳharābe meñ charāġhāñ na huā thā so huā
us kī ḳhvāhish kahūñ yā apnī tamannā 'nādir'
bazm meñ us kī ġhazal-ḳhvāñ na huā thā so huā
Top Urdushayar.com