Athar Nadir

KHabar nahin ki safar hai ki hai qayam abhi

Athar Nadir

Ghazipur, Uttar pradesh, India

1928
ḳhabar nahīñ ki safar hai ki hai qayām abhī
tilism-e-shahr meñ kho.e haiñ ḳhās-o-ām abhī
sadā bhī degā kabhī to sukūt kā sahrā
kisī ko hone to do ḳhud se ham-kalām abhī
jo dekhiye to zamāna hai tez-rau kitnā
tulū-e-sub.h abhī hai to vaqt-e-shām abhī
vo qaht-e-āb hai dariyā bhī saare ḳhushk hue
ravāñ jo abr hai kartā nahīñ qayām abhī
ab ittifāq se bach kar nikal ga.e to kyā
rah-e-talab meñ to 'nādir' haiñ kitne daam abhī
Top Urdushayar.com