Athar Nadir

raat aangan mein chand utra tha

Athar Nadir

Ghazipur, Uttar pradesh, India

1928
raat āñgan meñ chāñd utrā thā
tum mile the ki ḳhvāb dekhā thā
ab ki ḳhud haiñ hisār-e-zāt meñ band
varna apnā bhī zor chaltā thā
shīsha-e-dil pe aisī choT paḌī
ek lamhe meñ reza reza thā
us ke kūche ke ho liye varna
rāsta har taraf nikaltā thā
rut jo badlī to ye bhī dekh liyā
patta patta zamīñ pe bikhrā thā
ek ḳhushbū hai jaanī pahchānī
is ḳharābe meñ kaun rahtā hai
mom kī tarah vo pighal sā gayā
vo jo patthar kī tarah lagtā thā
ab ki sunte nahīñ ho baat magar
phir kahoge ki koī kahtā thā
raat sunsān thī magar 'nādir'
hashr sā dil meñ ek barpā thā
Top Urdushayar.com