jī ko rog lagā baiThā jī ke rog se martā huuñ
is meñ kisī se shikva kyā apnī karnī bhartā huuñ
tark-e-gunāh ai vā.iz-jī dil se nahīñ majbūrī hai
aap ḳhudā se Darte haiñ maiñ duniyā se Dartā huuñ
duniyā se kuchh faiz na thā duniyā ko taj baiThā huuñ
allāh se ummīdeñ haiñ allāh allāh kartā huuñ
duur to haT jā.ūñ lekin fikr-e-mohabbat ne maarā
behad nāzuk rishta hai TuuT na jaa.e Dartā huuñ
kāvish-e-paiham āḳhir tak hāsil-e-marg-e-māyūsī
ye bhī koī jiinā hai kis jiine par martā huuñ