Athar Nadir

wo nahin jaanta hai jab kuchh bhi

Athar Nadir

Ghazipur, Uttar pradesh, India

1928
vo nahīñ jāntā hai jab kuchh bhī
us se kahnā hai be-sabab kuchh bhī
kaun apnā hai kaun begāna
ham ko ma.alūm hai ye sab kuchh bhī
be-ġharaz ho ke sab se milte haiñ
ham ki rakhte haiñ be-talab kuchh bhī
jab bhī miltā hai muskurātā hai
ḳhvāh us kā ho ab sabab kuchh bhī
ham bhī mil kar bichhaḌ ga.e us se
baat aisī nahīñ ajab kuchh bhī
aadmī kā amal se rishta hai
kaam aatā nahīñ nasab kuchh bhī
laakh zulmat kā bol-bālā ho
do-ghaḌī meñ na hogī shab kuchh bhī
aisā duniyā se jī ulajhtā hai
nahīñ duniyā meñ jaise ab kuchh bhī
log qismat pe chhoḌ dete haiñ
baat bantī nahīñ hai jab kuchh bhī
jo nahīñ chāhte the ham kahnā
us se kahnā paḌā vo sab kuchh bhī
zehn maflūj ho gayā shāyad
yaad rahtā nahīñ hai ab kuchh bhī
vo kisī kā adab nahīñ karte
jo nahīñ jānte adab kuchh bhī
us ke dil se utar ga.e 'nādir'
tum ko aatā nahīñ hai Dhab kuchh bhī
Top Urdushayar.com