Athar Nadir

samand-e-shauq pe KHat us ka taziyana hua

Athar Nadir

Ghazipur, Uttar pradesh, India

1928
samand-e-shauq pe ḳhat us kā tāziyāna huā
mile hue bhī to us se hameñ zamāna huā
ye sochtā huuñ ki āḳhir vo maslahat kyā thī
ki jis se tark-e-ta.alluq kā ik bahāna huā
ab aa bhī jaao ki ik dūsre meñ gum ho jaa.eñ
visāl-o-hijr kā qissa bahut purānā huā
vo jis se milne kī dil meñ taḌap ziyāda hai
hamārā us se ta.āruf bhī ġhā.ebāna huā
sadāqatoñ pe yaqīñ koī kis tarah kar le
ki kal jo sach thā vahī aaj ik fasāna huā
vo terī bazm se bāzār ho ki gulshan ho
kahāñ kahāñ na mirā dil tirā nishāna huā
vo aaj aa.e haiñ 'nādir' to aisā lagtā hai
falak pe jaise hamārā ġharīb-ḳhāna huā
Top Urdushayar.com