Athar Nadir

kis darja mere shahar ki dilkash hai faza bhi

Athar Nadir

Ghazipur, Uttar pradesh, India

1928
kis darja mire shahar kī dilkash hai fazā bhī
mānūs har ik chiiz hai miTTī bhī havā bhī
dekho to har ik rañg se miltā hai mirā rañg
socho to har ik baat hai auroñ se judā bhī
yuuñ to mire hālāt se vāqif hai zamāna
lekin mujhe miltā nahīñ kuchh apnā patā bhī
saa.e kī tarah saath rahā kartā hai ik shaḳhs
saaya ki huā kartā hai apnoñ se judā bhī
phir zaḳhm-e-tamannā ke na.e phuul khile haiñ
ḳhushbū tirī le aa.ī hai phir mauj-e-sabā bhī
har aan badaltī huī duniyā hai ye 'nādir'
yaañ dil ke lagāne kī nahīñ hai koī jā bhī
Top Urdushayar.com