Athar Nadir

karta main ab kisi se koi iltimas kya

Athar Nadir

Ghazipur, Uttar pradesh, India

1928
kartā maiñ ab kisī se koī iltimās kyā
marne kā ġham nahīñ hai to jiine kī aas kyā
jab tujh ko mujh se duur hī rahnā pasand hai
saa.e kī tarah rahtā hai phir ās-pās kyā
tujh se bichhaḌ ke ham to yahī sochte rahe
ye gardish-e-hayāt na aa.egī raas kyā
ab tark-e-dostī hī taqāzā hai vaqt kā
terā qayās gar hai yahī to qayās kyā
maanā ki terā milnā hai mushkil bahut magar
har lamha TuuT jaa.e ab aisī bhī aas kyā
ik umr ho ga.ī hai yahī sochte hue
apnī kitāb-e-zīst kā hai iqtibās kyā
'nādir' kahīñ to sair ko bāhar bhī jā.iye
har-dam kisī kī yaad meñ rahnā udaas kyā
Top Urdushayar.com