Athar Nadir

kabhi sukun to kabhi iztirab jaisa hai

Athar Nadir

Ghazipur, Uttar pradesh, India

1928
kabhī sukūñ to kabhī iztirāb jaisā hai
ab us kā milnā-milānā bhī ḳhvāb jaisā hai
ye tishnagī-e-mohabbat na bujh sakegī kabhī
ye mat kaho ki ye dariyā sarāb jaisā hai
ġhamoñ kī dhuup meñ ummīd ke bhī saa.e huuñ
tū zindagī meñ yahī inqalāb jaisā hai
kabhī ḳhayāl se bāhar kabhī ḳhayāl meñ hai
vo ek chehra jo dil meñ gulāb jaisā hai
koī mile na mile be-qarār rahtā hai
ki dil kā haal bhī ik mauj-e-āb jaisā hai
hamāre dil meñ vahī hai jo sab pe zāhir hai
ki apnā chehra khulī ik kitāb jaisā hai
vo jis kī zaat se jiine kā lutf thā 'nādir'
bichhaḌ gayā to ye jiinā azaab jaisā hai
Top Urdushayar.com