kuchh is adā se vo mere dil-o-nazar meñ rahā
ba-qaid-e-hosh bhī maiñ ālam-e-digar meñ rahā
ḳhud apnī zaat pe mujh ko bhī iḳhtiyār na thā
tamām-umr maiñ ik halqa-e-asar meñ rahā
vo ishq jis kī zamāne ko bhī ḳhabar na rahī
tire bichhaḌne se rusvā nagar nagar meñ rahā
rah-e-hayāt meñ terī rifāqateñ na sahī
tirā ḳhayāl to har-dam mujhe safar meñ rahā
ġham-e-zamāna ne kis ko mafar hai ai 'nādir'
sukūn-e-qalb kahāñ ab kisī hunar meñ rahā