hai ye shahr-e-ishq yaañ āb-o-havā kuchh aur hai
surḳh rañgat hai zamīñ kī aur fazā kuchh aur hai
yaañ junūñ hai kārvān-e-shauq ko bāñg-e-rahīl
ai musāfir ye payām-e-naqsh-e-pā kuchh aur hai
hai judā is shahr-e-dil meñ lazzat-e-ranj-o-alam
is jagah ḳhūn-e-jigar kā zā.iqa kuchh aur hai
ārif-e-kāmil haiñ in sahrāoñ ke sahrā-navard
yaañ to har majnūñ kā andāz-o-adā kuchh aur he
zikr kī tamsīl har tansīl kī ta.abīr hai
lutf-e-jannat aur hai āb-e-baqā kuchh aur hai
regzār-e-hijr meñ ehsās ke zamzam nihāñ
is jagah to tishnagī kā silsila kuchh aur hai
tū jo nau-vārid hai sun yaañ aish-e-hastī hai judā
husn kī sarkār meñ lafz-e-fanā kuchh aur hai
dosh par āġhosh meñ pahlū meñ haidar kab na the
dast-e-mursal par bulandī kā mazā kuchh aur hai
ahl-e-radd-o-kad ne sau tafsīr kī ik lafz kī
par na samjhe ki nabī kā mudda.ā kuchh aur hai
sun kisī majzūb se ek baar rūdād-e-ġhadīr
ḳhum ke mimbar par alī kā martaba kuchh aur hai
surḳh-rū ho jaa.e tujh se da.avā-e-ulfat shahāb
āshiqoñ ke zinda rahne kī adā kuchh aur hai