Hari Chand Akhtar

shaiKH o panDit dharm aur islam ki baaten karen

Hari Chand Akhtar

Hoshiarpur, Punjab, India

1901-1958
shaiḳh o panDit dharm aur islām kī bāteñ kareñ
kuchh ḳhudā ke qahr kuchh in.aam kī bāteñ kareñ
yās-o-hirmān-o-ġham-o-ālām kī bāteñ kareñ
aa dil-e-īzā-talab kuchh kaam kī bāteñ kareñ
ye sunā.eñ paak naġhme avvalīñ ilhām ke
vo ḳhudā ke āḳhirī paiġhām kī bāteñ kareñ
ham khaḌe sunte raheñ aur dil meñ ye kahte raheñ
ab ye ruḳhsat hoñ to ham kuchh kaam kī bāteñ kareñ
dost se kah deñ dil-e-be-mudda.ā kī dāstāñ
aaj saaqī se shikast-e-jām kī bāteñ kareñ
umr bhar kā ahd-e-ulfat ik ḳhayāl-e-ḳhām thā
aao lekin is ḳhayāl-e-ḳhām kī bāteñ kareñ
zindagī be-shak tirā in.aam hai yā-rab magar
sun sake to kuchh tire in.aam kī bāteñ kareñ
Top Urdushayar.com