hai ye mar miTne kā in.aam tumheñ kyā ma.alūm
lazzat-e-dashna-e-ba-dnām tumheñ kyā ma.alūm
tum ne dekhī hai faqat merī pareshāñ-hālī
mujh pe kyā kyā hue ikrām tumheñ kyā ma.alūm
hairatī ho ke uThā.e hue dil phirte haiñ
is ke lag jaane kā anjām tumheñ kyā ma.alūm
jazba-e-ḳhvāhish-o-ehsās kī is baazī meñ
kaun ho jā.egā nākām tumheñ kyā ma.alūm
dekhte ho mujhe par-basta to hañs dete ho
hai yahāñ kaun tah-e-dām tumheñ kyā ma.alūm
vaqt kā rañg badalte nahīñ dekhā tum ne
sūrat-e-gardish-e-ayyām tumheñ kyā ma.alūm
mausam-e-mehr ke do-chār baras dekhe haiñ
saḳhtī-e-mausam-e-ālām tumheñ kyā ma.alūm