rahmatoñ meñ tirī āġhosh kī paale ga.e ham
aise mardūd hue phir ki nikāle ga.e ham
āsmānoñ ko sambhāle rahī qudrat terī
itne sarkash the ki tujh se na sambhāle ga.e ham
ishq kī bū thī tajassus kā nasha shauq kā rañg
sāġhar-e-gul meñ tire vāste Dhāle ga.e ham
tajrabāt apne muqaddar meñ liye marhala-vār
tere bāzār-e-tamāshā meñ uchhāle ga.e ham
jins-e-ehsās kī dūkān pe sannāTā thā
koī gāhak na thā is kā to uThā le ga.e ham
ro.ab taarī thā zabāñ par tirā maḳhlūq thī chup
ham to āshiq the ġham-e-hijr sunā le ga.e ham
luuT le chain koī ye na huā thā ab tak
mutma.in rah gayā vo aur churā le ga.e ham