Iffat abbas

KHun mein tar sabr ki chadar kahan le jaoge

Iffat abbas

Chhapra, Bihar, India

1963
ḳhuuñ meñ tar sabr kī chādar kahāñ le jāoge
zindagānī ko barahna-sar kahāñ le jāoge
aa ga.e ahkām-e-navvāb bolnā mamnūa hai
tum suḳhnavar lab-e-gustar kahāñ le jāoge
TuuT jā.eñge zavābit chīḳh uTThegā zamīr
duur nazroñ se har ik manzar kahāñ le jāoge
tark-e-aulā kī sazā ye pattharoñ kā shahr hai
ab bhalā ye kāñch kā paikar kahāñ le jāoge
shauq ke pur-pech raste aur anāsir sañg-e-mīl
gar uThā bhī lo to ye patthar kahāñ le jāoge
āgahī kā rizq kab maltā hai aur kis samt se
kāsa-e-zauq-e-nazar dar dar kahāñ le jāoge
hijr kī shab kā hai ye pichhlā pahar uTho 'shahāb'
ro chuke shab bhar ye chashm-tar kahāñ le jāoge
Top Urdushayar.com