Iffat abbas

rah-e-justuju mein bhaTak gae to kisi se koi gila nahin

Iffat abbas

Chhapra, Bihar, India

1963
rah-e-justujū meñ bhaTak ga.e to kisī se koī gilā nahīñ
ki ham us ke ho ke na jī sake vo hamārā ban ke milā nahīñ
mire fikr-o-fan pe muhīt hai jo tasavvur ek ḳhudā-numā
hai talāsh us kī nahīñ pata vo ḳhudā bhī hai ki ḳhudā nahīñ
jo milī nahīñ mujhe āgahī hai mirī nigāh se ajnabī
ho rag-e-gulū se qarīb bhī to yahī kaheñge milā nahīñ
jo basīr ho vo nazar bhī de mujhe āgahī kā hunar bhī de
magar ab tū merī ḳhabar bhī de ki mujhe ḳhud apnā pata nahīñ
haiñ 'shahāb' mere havās gum ki har ek shab hai shab-e-dahum
jo bujhā to bujh ke hī rah gayā hai charāġh phir se jalā nahīñ
Top Urdushayar.com