Iffat abbas

ek muddat se sar-e-dosh-e-hawa hun main bhi

Iffat abbas

Chhapra, Bihar, India

1963
ek muddat se sar-e-dosh-e-havā huuñ maiñ bhī
itnā shaffāf ki ham-rañg-e-fazā huuñ maiñ bhī
tū bhī vāqif mirī tāsīr ke mahshar se he
aur minnat-kahs-e-altāf-o-atā huuñ maiñ bhī
tū manādir ke singhāsan pe ba-sad izz-o-vaqār
phuul kī thaal meñ lau detā diyā huuñ maiñ bhī
tū bhī iz.hār-e-ta.alluq ke sabab DhūñDtā hai
shiddat-e-shauq se joyā-e-razā huuñ maiñ bhī
haram-e-nāz kī chilman se ulajhne vaalī
dil-e-betāb-e-mohabbat kī duā huuñ maiñ bhī
mushtarī merā bhī aa.egā ye maiñ jāntā huuñ
pahle bāzār meñ aane se bikā huuñ maiñ bhī
ho jo yak-pahlū-o-yak-rañg nahīñ hai tū 'shahāb'
sho.ala-o-shabnam-o-sīmāb-o-sabā huuñ maiñ bhī
Top Urdushayar.com