Iffat abbas

shab-e-furqat ki tanhai ka lamha

Iffat abbas

Chhapra, Bihar, India

1963
shab-e-furqat kī tanhā.ī kā lamha
ka.ī rāz-e-nihānī kholtā hai
bahut din se vo nā-mānūs lahja
mire dasht-e-anā meñ gūñjtā hai
mirī pahchān rishte merā maqsad
sadā sargoshiyoñ meñ pūchhtā hai
maiñ sargardāñ huuñ us kī justujū meñ
vo kahtā hai ki mujh ko DhūñDtā hai
hai us se khul ke milnā ab zarūrī
pas-e-parda jo mujh ko dekhtā hai
Top Urdushayar.com