Iffat abbas

meri mohabbat ki be-KHudi ko talash-e-haqq-e-jalal dena

Iffat abbas

Chhapra, Bihar, India

1963
mirī mohabbat kī be-ḳhudī ko talāsh-e-haqq-e-jalāl denā
kabhī jo pābanda-e-sitam huuñ mujhe bhī azm-e-maqāl denā
mohabbatoñ kī ye shoḳhiyāñ haiñ ye e'timād-e-vafā hai merā
bigaḌ ke fihrist-e-āshiqāñ se kahīñ na mujh ko nikāl denā
rah-e-mohabbat kī saḳhtiyoñ se jo rañg-e-ruḳh thā jhulas chukā hai
tumhārī ulfat pe mar rahe haiñ mirā bhī chehrā ujaal denā
tumhārā sab ham ko jānte haiñ to apnī izzat kī laaj rakh ke
hamārī hastī ke aa.ine ko koī hunar kuchh kamāl denā
tumhī to ho miir mai-kade ke tumhī ho sāqī-e-tishna-kāmī
ham apnā sāġhar liye khaḌe haiñ zarā sī is meñ bhī Dhaal denā
sunī haiñ fayyāziyāñ tumhārī tumhāre mastoñ meñ hai ye shohrat
hai mere saaqī kā ye vatīra ki jaam bhar kar ubaal denā
pasand haiñ tum ko bhīgī āñkheñ larazte lab aur udaas chehre
visāl kā jab irāda karnā mujhe bhī rañg-e-malāl denā
Top Urdushayar.com