Hari Chand Akhtar

jahan tujhko biTha kar pujte hain pujne wale

Hari Chand Akhtar

Hoshiarpur, Punjab, India

1901-1958
jahāñ tujh ko biThā kar pūjte haiñ pūjne vaale
vo mandir aur hote haiñ shivāle aur hote haiñ
dahān-e-zaḳhm se kahte haiñ jin ko marhabā bismil
vo ḳhanjar aur hote haiñ vo bhāle aur hote haiñ
jinheñ mahrūmī-e-tāsīr hī asl-e-tamannā hai
vo aaheñ aur hotī haiñ vo naale aur hote haiñ
jinheñ hāsil hai terā qurb ḳhush-qismat sahī lekin
tirī hasrat liye mar jaane vaale aur hote haiñ
jo Thokar hī nahīñ khāte vo sab kuchh haiñ magar vaa.iz
vo jin ko dast-e-rahmat ḳhud sambhāle aur hote haiñ
talāsh-e-sham.a se paidā hai soz-e-nā-tamām 'aḳhtar'
ḳhud apnī aag meñ jal jaane vaale aur hote haiñ
Top Urdushayar.com