aah ye daur ki jis meñ lab-o-ruḳhsār bike
dast-e-fitrat ke banā.e hue shahkār bike
dil ke jazbāt bike zehn ke afkār bike
sach to ye hai ki har ik ahd meñ fankār bike
asr-e-hāzir meñ koī chiiz bhī anmol nahīñ
ishq kī aan bike husn kā pindār bike
ik dahaktī huī dozaḳh ko bujhāne ke liye
kitne hī phuul se paikar sar-e-bāzār bike
nafs kī devī kā pur-kaif ishārā pā kar
sāhib-e-hosh bike sāhab-e-kirdār bike
ḳhud-ġharaz chand nigahbānoñ ke hāthoñ aksar
phuul to phuul haiñ gulzār ke gulzār bike
bazm-e-sāqī bhī vo bāzār-e-tarab hai 'vāhid'
ek sāġhar pe jahāñ fitrat-e-ḳhuddār bike