ġhair-mumkin hai ki miT jaa.e sanam kī sūrat
dil kā ye naqsh nahīñ naqsh-e-qadam kī sūrat
raat bīmār pe bhārī hai kahīñ tār-e-nafas
TuuT jaa.e na tire qaul-o-qasam kī sūrat
mai-kasho ḳhuub piyo itnā magar hosh rahe
jaam chhalke na kabhī dīda-e-nam kī sūrat
ham sā bad-baḳht zamāne meñ koī kyā hogā
ham ko ḳhushiyāñ bhī milīñ dard-o-alam kī sūrat
kaun hai jis se hameñ pyaar ke do bol mileñ
aaj ke log haiñ patthar ke sanam kī sūrat
fikr-o-ehsās kī āñchoñ se pighal kar 'vāhid'
misl-e-shamshīr huī apne qalam kī sūrat