jo dasht-e-tamannā meñ har vaqt bhaTaktā hai
insān kā dil aisā ma.asūm parinda hai
ik ḳhaak kā tuuda hai par azmat-e-duniyā hai
naqqāsh-e-haqīqat ne kyā naqsh tarāshā hai
maiñ auroñ ko kyā parkhūñ ā.ina-e-ālam meñ
muhtāj-e-shanāsā.ī jab apnā hī chehrā hai
ham apnī haqīqat kyā pahchān sakeñ yaaro
parda hai nigāhoñ pe zehnoñ meñ dhuñdlakā hai
soz-e-ġham-e-hastī se 'vāhid' tirī nas nas meñ
ye garm lahū kyā hai bahtā huā laavā hai